Poetry

Ruba Abbas

میں ایک ان دکھے خمار میں ہوںایسے لگتا ہے موسم بہار میں ہوں
 پلٹنا ممکن نہیں کسی بھی طور
کسی کے عہد کے حصار میں ہوں
میری تلاش میں سفر رائیگاں تیرا
میں خود سے بھی فرار میں ہوں
بے قراریاں ڈھلنے لگیں سکون میں
ہاں اب جا کے کہیں قرار میں ہوں
وہ آج واقعی میرے روبرو ہے کیا؟
یا میں خواب کے حصار میں ہوں
ٹھہرو ابھی مت پکارنا مجھے تم
 گمشدہ یاد کے سیاہ غار میں ہوں

از قلم     رباء عباس


mein aik un dikhe khumar mein hon
aisay lagta hai mausam bahhar mein hon
palatna mumkin nahi kisi bhi tor
kisi ke ehad ke hisaar mein hon
meri talaash mein safar raaygan tera
mein khud se bhi faraar mein hon
be Qarariyan dhalnay lagen sukoon mein
haan ab ja ke kahin qarar mein hon
woh aaj waqai mere rubaroo hai kya ?
ya mein khawab ke hisaar mein hon
thehro abhi mat pukarna mujhe tum
gumshudaa yaad ke siyah ghaar mein hon

Ruba Abbas

Insta Id : @itsme_rubaabbas

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *