Poetry

Kainat Jameel Abbasi

کون سے لوگ ہیں جو بے ہنر آتے ہیں؟
محبت بھی تو ہنر ہے ایک، اور محبت سب کر جاتے ہیں۔
پہلے ہنسانا، پھر رلانا اور دل توڑ کر چلے جانا۔
تمہیں تو محبت کے سوا بھی کئی ہنر آتے ہیں۔
تیری توجہ کو ترستے ہیں کئی پیروکار تیرے
تیرے تلخ لہجے سے اکثر مر بھی جاتے ہیں۔
یہ اداسیاں تو ہم انسانوں کی عادت بن چکی ہیں۔
چلو ہم ساتھ بیٹھ کر کچھ پل مسکراتے ہیں۔
جن سے محبت ہو وہ دلوں میں رہتے ہیں۔
مگر محبتوں سے بیزار لوگ کدھر جاتے ہیں؟
محبتوں کی راہوں کے نئے مسافر ہیں ہم۔۔
چلو نا ساتھ چلتے ہیں جدھر جاتے ہیں۔ؕ
محبت تو ضروری ہے، محبت کر جاتے ہیں۔
مگر ہم تو مسافر ہیں، تنہا گزر جاتے ہیں۔
دنیا مسافر خانہ اور جنت ٹھکانہ ہے۔
یہاں جو مل بھی جائیں وہ بھی بچھڑ جاتے ہیں
جن سے محبت ہو وہی دل کو توڑ جاتے ہیں۔
مگر دل پر محبت کا اثر چھوڑ جاتے ہیں
غم سارے نرم دلوں کے مقدر میں لکھے ہیں۔
سنگ دل بھی کہاں دنیا میں خوشیاں پاتے ہیں؟
محبت یہاں اہل دل کرتے ہیں مگر
محبوب یہاں اہل نظر لے جاتے ہیں۔
تم پوچھتے ہو کہ دغا باز کون ہیں؟
ارے وہی جو وعدے کرتے ہیں پھر مکر جاتے ہیں۔
یہ جو کہتے ہیں نا محبت ہوتی ہی نہیں ہے۔
یہ بھی محبت کے ہاتھوں سب سدھر جاتے ہیں۔
دوریوں سے یہاں محبتیں بڑھتی ہیں اور۔۔
جو حاصل ہوں وہ دل سے اتر جاتے ہیں۔

از قلم    کائنات جمیل عباسی


kon se log hain jo be hunar atay hain ?
mohabbat bhi to hunar hai aik, aur mohabbat sab kar jatay hain .
pehlay hansana, phir rulana aur dil toar kar chalay jana .
tumhe to mohabbat ke siwa bhi kayi hunar atay hain .
teri tawajah ko tarastay hain kayi peirokaar tairay
tairay talkh lehjey se aksar mar bhi jatay hain .
yeh udasiyaan to hum insanon ki aadat ban chuki hain .
chalo hum sath baith kar kuch pal muskuratay hain .
jin se mohabbat ho woh dilon mein rehtay hain .
magar mohabbaton se bezaar log kidhar jatay hain ?
mohabbaton ki raahon ke naye musafir hain hum. .
chalo na sath chaltay hain jidhar jatay hain.
mohabbat to zaroori hai, mohabbat kar jatay hain .
magar hum to musafir hain, tanha guzar jatay hain .
duniya musafir khanah aur jannat thikana hai .
yahan jo mil bhi jayen woh bhi bhichar jatay hain
jin se mohabbat ho wohi dil ko toar jatay hain .
magar dil par mohabbat ka assar chore jatay hain
gham saaray naram dilon ke muqaddar mein likhay hain .
sang dil bhi kahan duniya mein khusihyan paate hain ?
mohabbat yahan ahal dil karte hain magar
mehboob yahan ahal nazar le jatay hain .
tum puchhte ho ke dagha baz kon hain ?
arrey wohi jo waday karte hain phir makr jatay hain .
yeh jo kehte hain na mohabbat hoti hi nahi hai .
yeh bhi mohabbat ke hathon sab sudhar jatay hain .
dooriyon se yahan muhabbaten barhti hain aur. .
jo haasil hon woh dil se utar jatay hain .

Writer: Kainat Jameel Abbasi

Insta Id : @kainatjameelabbasi._.official

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *