un neend ke Maton ko koi to jaga jaye




Poetry (Nazm)

Asma Mohammed Shahid Khan, Mumbai

اسماء محمد شاہد خان، ممبئی

ان نیند کے ماتوں کو کوئی تو جگا جائےاے کاش میں محفل کوئی تو سجا جائےایک عمر گزاری ہے جس شخص کی چاہت میںکس دیش میں رہتا ہےکوئی تو بتا جائےاب درد جدائی میں دن رات قیامت ہےبجھتی ہوئی شمع کو کوئی تو جلا جائےمحفل میں بلاتے ہیں پہلو میں بیٹھا تے ہیںایک خواب کبھی ایسا کوئی تو دکھا جائےکچھ دور ذرا چل کے دیکھیں تو سہی اسماءاُس شخص کی آنکھوں کو کوئی تو رولا جائےاسماء محمد شاہد خان، ممبئی

un neend ke Maton ko koi to jaga jaye
ae kash mein mehfil koi to saja jaye
aik Umar guzari hai jis shakhs ki chahat mein
kis daish mein rehta hai koi to bta jaye
ab dard judai mein din raat qayamat hai
bujhti hui shama ko koi to jala jaye
mehfil mein bulatay hain pehlu mein betha te hain
aik khawab kabhi aisa koi to dikha jaye
kuch daur zara chal ke dekhen to sahi Asma
uss shakhs ki aankhon ko koi to raula jaye

Asma Mohammad Shahid Khan , Mumbai




Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *