Urdu Poetry
Binte Hawwa
Uth Ke Ab Qayamat Qareeb Hai
Uth ummate Muhammedﷺ , nikal unn Mazlumon ke khatir ,
Uth ke ab qayamat qareeb hai .
jaag ja, aawaz uttha, jehaad kar unn musalmano ke khatir ,
Uth ke ab qayamat qareeb hai .
chakna chur huve khawab saaray, unn theylon ko liye us baap ke ,
kal tak jin mein khilonay thay, aaj unn se khailnay walay hain ,
Uth ke ab qayamat qareeb hai .
masiihaa bana phir raha tha woh, dekhi theen bohat lashain uss ne ,
duniya ujdi uski apni aulaad ko dekh kar, di phir duhai uss ne ,
Uth ke ab qayamat qareeb hai .
zindagi se bharpoor thay woh lamhay, nannah sa wujood haath mein liye ,
aik maa zindagi talaash rahi thi, nannah sa kafan haath mein liye ,
aُth ke ab qayamat qareeb hai .
kyun intzaar hai tujhe qayamat ka, ik qayamat barpaa hai ,
kyun intzaar hai tujhe mehdi ka, ab khud Salah Aldeen ban ,
Uth ke ab qayamat qareeb hai .
Uth Ke Ab Qayamat Qareeb Hai by Binte Hawwa
Instagram: @its 09_oklm_30
اُٹھ کہ اب قیامت قریب ہے۔
اُٹھ امتِ محمدیہ ﷺ ، نکل اُن مظلموں کے خاطر ،
اُٹھ کہ اب قیامت قریب ہے۔
جاگ جا، آواز اُٹھا، جہاد کر اُن مسلمانوں کے خاطر،
اُٹھ کہ اب قیامت قریب ہے۔
چکنا چور ہوۓ خواب سارے، اُن تھیلوں کو لیۓ اس باپ کے،
کل تک جن میں کھلونے تھے، آج اُن سے کھیلنے والے ہیں،
اُٹھ کہ اب قیامت قریب ہے۔
مسیحا بنا پھر رہا تھا وہ، دیکھی تھیں بہت لاشیں اُس نے،
دنیا اُجڑی اسکی اپنی اولاد کو دیکھ کر، دی پھر دہایٔ اُس نے،
اُٹھ کہ اب قیامت قریب ہے۔
زندگی سے بھرپور تھے وہ لمحے، ننہا سا وجود ہاتھ میں لیۓ،
ایک ماں زندگی تلاش رہی تھی، ننہا سا کفن ہاتھ میں لیۓ،
اُٹھ کہ اب قیامت قریب ہے۔
کیوں انتظار ہے تجھے قیامت کا، اک قیامت برپا ہے،
کیوں انتظار ہے تجھے مہدی کا، اب خود صلاح الدین بن،
اُٹھ کہ اب قیامت قریب ہے۔
از قلم بنتِ حوا۔
The message of waking up muslims for jihad is perfectly expressed in this poetry. Really appreciated! 👍
💘💕